Friday 11 May 2012

valentine day

socha to bahut ek gulab tor loo tere singar ke liye,
par jamane ki rusbaiyon ne hatho ko thaam liya,
par mohabbat ki jannat ko zamana kya rok paya hai,
chir kar dil ko hamnein unein liyein khoon se gulab banaya hai

bharat maa

sajde main teri sar ko jhuka sakta hoon,
par baat jab mulk ki ho to bas kata sakta hoon,
yu to teri dhani chunar main guzar jaygi meri umra sari,
bharat maa ki jai

par pukaregi jab mujhe bharat maa  chor jawani khud ko luta sakta hoon................

dilruba

agar masumiat hoti to main uss se puchta,
tu meri dilruba par itni meharban kyon hai,
                jab main rota hoon to uski yaad aati hai,
                jab main hasta hoon to mujhmein hi uska chehra nazar aata hai

Wednesday 2 May 2012

MAA


Meri her aanshu komoti bana kar usne 

Har andhere ki neend kurbaan ki hain

Jab yeh nanhe kadam kisi mor per ladkhadaye hain

Aanchal ki chaon ne mujhe chalna sikhaya hai !!!!!!!!!

Shayar

Shayar bas woh nahi jo hansa ke chala jaye
Shayar toh woh hain jo aapko kuch shikha ke chala jaye
Unki nashili aankhon se , mamta ki chaon tak
Kabhi dil ko dhadka ke , Toh kabhi rula ke chala jaye....................  


                                       

Engineering First LOVE

First semester ke preparation mein hui unse pehli mulaqat ,
Puch rahe the Sir se Question apni ek saheli ke saath
Meri kismat duan mein unse dusri mulaqat maang rahi thi
Main jaa raha tha mam se padhne  Woh bhi saheli ke saath ja rahi thi 

                               

Kuch baatein ki saheli ke kaano ke paas jakar ,
Muskura padi aankhon ko meri taraf jhuka kar
Allah kare yeh mulaqat phir se ho
Woh kaale salwar-suit mein Yeh dil barbad phir se ho ...............

Philosophy

Agar aapke mitra se koi galti ho gayi hain,                                                            Agar aapko aisa lag raha hain                                                                                               Lekin woh dharm ke saath hai

                              

                                                  Toh aap use maaf  kar dijiye , Kyunki kehte hai dost her rishte mein kuch galtiyan maaf hoti hai !!!!!!!

Beraham Aashiqui

Suhaani shaam mein log apne ghar ko laut te hain                                                          Hum un badnaseebon mein hai jo maikhaane khojte hai                                        Na rang kauwe ka hain na bol uss jaise hain                                                             Bas naseebo ka khel hai jo rang berang ho gaye hain!!!


Kabhi baithte the dono subah ke dhoop ki tarah
Woh phuchke ki khusboo , woh vanilla ka ice cream
Aaj mujhse unki suhani shaam ka kimat naa pucho
Toote hue phal ka dard maali nahi samjhata 

                       Muskan

Main ped hoon chaya bhi dunga, phool bhi dunga
Mat taras ae dil main tujhe naya phal bhi doonga !!!!!!! 

Philosophy

Jab koi aapki taraf iss najar se dekhe jisme aap yeh na samajh paaye ki woh chahta kya hai 

              toh bas halki si muskurahat ke saath uska swagat kijiye .

Aashiqui

 Kaisi aafat ki pooria se humne aashiqui kar li hai ,

Jaise khwabon mein jaakar humne khud khushi kar li hai ,

Jab bhi dekhta hoon unko apne kaatil ke saath ,

Jalta hai dil aise jaise saale ne dhuyen se dushmani kar li hain ....