Thursday 19 April 2012

rutha yaar

mera labz-labz ho aaina jo dil ke sare dwaar khol de,
maine jo bhi ki ho galtiya iss prem mein tu taul dein,
nazar karoo barsat-e- mohabbat patjhar-e-rangis tu chor de,
kai semester beet gaya hai ab to gussa chor de

bewafai

yu sabdo ko na paros labzo ko sharm aa jayegi,
katil teri nazar na rahengi to ye ankhein bhig jayengi,
jab bhi sunepan mein teri surat nazar aayegi,
ek gulab ki dali jhukegi paigam-e-mohabbat tujhe nazar kar jayegi.

bewafai

wo tadpa rahe hai MUSKAN ko jab sitare gardish main hai mere,
mere labzo ke aasiyan tale khabgahon ke sagar hai,
kabhi boond chalkati hai kabhi rang aazmati hai,
benoor se rang mahel mein wo........beparda mujhe aaina dikhati hai.

dilruba

bada beparwaah mohabbat chala hai unke asiyane se,
sarabiyo ke nase tak chin kar le gaya unke paimane se,
MUSKANE-e-muqaddar ki saltanat sikandar-e- bazm se badi thi sayad,
taharkar ruk gayi masoom si mohabbat  mere garib khane mein

Bank loan officer

Samundar ki ankhein jab roi tarasa hua khat majloom hua;
meri ibadat tabtak na kabool hui sarafat-a-had unko maloom hua,
bastiyo ki udasi parvato ka sunapan parchai mere dil ki dhund na saki,
rubaroo hokar itne paimane chalkaie humne par bakhuda husn beparbah raha,

hum jante hai jafa kartein hai hukmrano ki sajis manzil,
hamari aatma bhi mom bankar  us patthar se takrane chali hai,
labzo ke katl karke hamne dekhe hai aasiane se,
mere bazm se badhkar shayad unki saltanat hai,

par khuda ka ye banda asha ki parchai chor nahi sakta,
patjhar ka ye basant kuch rang leke aayega,
wo banege ek din MUSKAN ke mann ki murat jo surat-e-dil batayega,
apni hogi zami apna hoga aasma rastra khusi ke geet gayega ?



Saturday 14 April 2012

VATSALYA PREM

In rangon mein bhi nasha hota , Agar tum inka nikhar hoti,
Iss amber se bhi khubsurati jhalakti, Agar tum iska shringar hoti,


Kabhi tum bazm mein aati , Kabhi yun hi deedar ho jata ,
Iss pal ko main aankhon mein bhar le aata ,
Aur ek-ek pal kya maikadey ke nashe se kam hota |


Iss dharti mein bhi hariyali hoti, Agar tum inka suroor karti,
Iss chand ki bhi apni chandini hoti, Agar tum se shabnam-e-deedar hoti,

Kabhi yun sajti sabarti ki charagon ki roshini kho jati,
Her tarang ki dhadkan yun khoti ki her saans ek aas mangti
Iss Taj Mahal ke noor ki main tareef karta agar chasm-e-baddor teri surat dikhti
Per jeevan ki yeh bidambnaayein toh soch ki gehraaiyon se bhi gehri hai,
Kyunki
\
\
\
Vijay Muskan bhi tujh per jaan lutata...............
/
/
/

Agar tujh mein "MAA" jaisa Vatsalya Prem hota ?