Saturday 14 April 2012

VATSALYA PREM

In rangon mein bhi nasha hota , Agar tum inka nikhar hoti,
Iss amber se bhi khubsurati jhalakti, Agar tum iska shringar hoti,


Kabhi tum bazm mein aati , Kabhi yun hi deedar ho jata ,
Iss pal ko main aankhon mein bhar le aata ,
Aur ek-ek pal kya maikadey ke nashe se kam hota |


Iss dharti mein bhi hariyali hoti, Agar tum inka suroor karti,
Iss chand ki bhi apni chandini hoti, Agar tum se shabnam-e-deedar hoti,

Kabhi yun sajti sabarti ki charagon ki roshini kho jati,
Her tarang ki dhadkan yun khoti ki her saans ek aas mangti
Iss Taj Mahal ke noor ki main tareef karta agar chasm-e-baddor teri surat dikhti
Per jeevan ki yeh bidambnaayein toh soch ki gehraaiyon se bhi gehri hai,
Kyunki
\
\
\
Vijay Muskan bhi tujh per jaan lutata...............
/
/
/

Agar tujh mein "MAA" jaisa Vatsalya Prem hota ?







                                               

1 comment: